havā-e-mausam-e-gul  se  lahū  lahū  tum  the
khile  the  phuul  magar  un  meñ  surḳh-rū  tum  the
zarā  sī  der  ko  mausam  kā  zikr  aayā  thā
phir  us  ke  ba.ad  to  mauzū-e-guftugū  tum  the
aur  ab  ki  jab  sūrat  nahīñ  talāfī  kī
maiñ  tum  se  kaise  kahūñ  merī  aarzū  tum  the
kahāniyoñ  meñ  to  ye  kaam  azhdahe  kā  thā
mirī  jab  aañkh  khulī  mere  chār-sū  tum  the