ye  ajab  sā.at-e-ruḳhsat  hai  ki  Dar  lagtā  hai
shahr  kā  shahr  mujhe  raḳht-e-safar  lagtā  hai
raat  ko  ghar  se  nikalte  hue  Dar  lagtā  hai
chāñd  dīvār  pe  rakkhā  huā  sar  lagtā  hai
ham  ko  dil  ne  nahīñ  hālāt  ne  nazdīk  kiyā
dhuup  meñ  duur  se  har  shaḳhs  shajar  lagtā  hai
jis  pe  chalte  hue  sochā  thā  ki  lauT  ā.ūñgā
ab  vo  rasta  bhī  mujhe  shahr-badar  lagtā  hai
mujh  se  to  dil  bhī  mohabbat  meñ  nahīñ  ḳharch  huā
tum  to  kahte  the  ki  is  kaam  meñ  ghar  lagtā  hai
vaqt  lafzoñ  se  banā.ī  huī  chādar  jaisā
oḌh  letā  huuñ  to  sab  ḳhvāb  hunar  lagtā  hai
is  zamāne  meñ  to  itnā  bhī  ġhanīmat  hai  miyāñ
koī  bāhar  se  bhī  darvesh  agar  lagtā  hai
apne  shajre  ki  vo  tasdīq  karā.e  jā  kar
jis  ko  zanjīr  pahante  hue  Dar  lagtā  hai
ek  muddat  se  mirī  maañ  nahīñ  soī  'tābish'
maiñ  ne  ik  baar  kahā  thā  mujhe  Dar  lagtā  hai