ai  dost  talattuf  siiñ  mire  haal  kuuñ  aa  dekh
siine  kī  agan  mehr  ke  paanī  siiñ  bujhā  dekh
sādiq  huuñ  mujhe  bul-havas  ai  jaan  tuuñ  mat  jaan
shamshīr-e-taġhāful  dil-e-zaḳhmī  pe  chalā  dekh
pyāsā  huuñ  tirī  teġh  ke  paanī  kā  har  ik  dam
bāvar  nahīñ  ye  baat  to  yak-bār  pilā  dekh
mujh  aah  kī  garmī  siiñ  jhaḌe  phuul  chaman  ke
ai  sarv-e-gulistān-e-adā  baaġh  meñ  jā  dekh
banda  huuñ  tirā  ḳhvāh  karam  ḳhvāh  jafā  kar
jis  tarz  tire  shauq  meñ  hue  mujh  kuuñ  jalā  dekh
naqd-e-dil-e-ḳhālis  kuuñ  mirī  qalb  tuuñ  mat  jaan
hai  tujh  kuuñ  agar  shubah  to  kas  dekh  tapā  dekh
tujh  lab  ke  tabassum  meñ  hai  ejāz-e-masīhā
ai  jān-e-'sirāj'  is  dil-e-be-jāñ  kuuñ  jalā  dekh