dar-e-ufuq  pe  raqam  raushnī  kā  baab  kareñ
ye  jī  meñ  hai  ki  sitāre  ko  āftāb  kareñ
nigah  meñ  ghūmtī  phirtī  haiñ  sūrateñ  kyā  kyā
kise  ḳhayāl  meñ  laa.eñ  kise  ḳharāb  kareñ
ye  aarzū  hai  ki  phūTeñ  badan  ke  ḳheme  se
aur  apnī  zaat  ke  sahrā  meñ  raqs-e-āb  kareñ
mire  hurūf-e-tahajjī  kī  kyā  majāl  ki  vo
tujhe  shumār  meñ  laa.eñ  tirā  hisāb  kareñ
nahīñ  hai  shahr  meñ  koī  bhī  jāgne  vaalā
kise  kaheñ  ki  chalo  sair-e-māhtāb  kareñ
falak  to  gosh-bar-āvāz  hai  magar  'tābish'
na  ho  zabān  hī  muñh  meñ  to  kyā  ḳhitāb  kareñ