tere  liye  sab  chhoḌ  ke  terā  na  rahā  maiñ
duniyā  bhī  ga.ī  ishq  meñ  tujh  se  bhī  gayā  maiñ
ik  soch  meñ  gum  huuñ  tirī  dīvār  se  lag  kar
manzil  pe  pahuñch  kar  bhī  Thikāne  na  lagā  maiñ
varna  koī  kab  gāliyāñ  detā  hai  kisī  ko
ye  us  kā  karam  hai  ki  tujhe  yaad  rahā  maiñ
maiñ  tez  havā  meñ  bhī  bagūle  kī  tarah  thā
aayā  thā  mujhe  taish  magar  jhuum  uThā  maiñ
is  darja  mujhe  khokhlā  kar  rakkhā  thā  ġham  ne
lagtā  thā  gayā  ab  ke  gayā  ab  ke  gayā  maiñ
ye  dekh  mirā  haath  mire  ḳhuun  se  tar  hai
ḳhush  ho  ki  tirā  madd-e-muqābil  na  rahā  maiñ
ik  dhoke  meñ  duniyā  ne  mirī  raa.e  talab  kī
kahte  the  ki  patthar  huuñ  magar  bol  paḌā  maiñ
ab  taish  meñ  aate  hī  pakaḌ  letā  huuñ  paañv
is  ishq  se  pahle  kabhī  aisā  to  na  thā  maiñ