Abbas Tabish

musafirat mein shab-e-wagha tak pahunch gae hain

Abbas Tabish

1961
musāfirat meñ shab-e-vaġhā tak pahuñch ga.e haiñ
ye log apnī abad-sarā tak pahuñch ga.e haiñ
ab is se aglā safar hamārā lahū karegā
ki ham madīne se karbalā tak pahuñch ga.e haiñ
agar mubāraz-talab nahīñ the to kis liye ham
charāġh le kar dar-e-havā tak pahuñch ga.e haiñ
gulāboñ aur gardanoñ se andāza ho rahā hai
ki ham kisī mausam-e-jazā tak pahuñch ga.e haiñ
tirī mohabbat meñ gumrahī kā ajab nasha thā
ki tujh tak aate hue ḳhudā tak pahuñch ga.e haiñ
batā rahī hai ye ḳhushk pattoñ kī tez bārish
ham apne mausam kī ibtidā tak pahuñch ga.e haiñ
hameñ bhī shunvā.ī kā yaqīñ ho chalā hai 'tābish'
ki ham bhī tahrīk-e-iltivā tak pahuñch ga.e haiñ
Top Urdushayar.com