musāfirat  meñ  shab-e-vaġhā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
ye  log  apnī  abad-sarā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
ab  is  se  aglā  safar  hamārā  lahū  karegā
ki  ham  madīne  se  karbalā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
agar  mubāraz-talab  nahīñ  the  to  kis  liye  ham
charāġh  le  kar  dar-e-havā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
gulāboñ  aur  gardanoñ  se  andāza  ho  rahā  hai
ki  ham  kisī  mausam-e-jazā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
tirī  mohabbat  meñ  gumrahī  kā  ajab  nasha  thā
ki  tujh  tak  aate  hue  ḳhudā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
batā  rahī  hai  ye  ḳhushk  pattoñ  kī  tez  bārish
ham  apne  mausam  kī  ibtidā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ
hameñ  bhī  shunvā.ī  kā  yaqīñ  ho  chalā  hai  'tābish'
ki  ham  bhī  tahrīk-e-iltivā  tak  pahuñch  ga.e  haiñ