dam-e-suḳhan  hī  tabī.at  lahū  lahū  kī  jaa.e
koī  to  ho  ki  tirī  jis  se  guftugū  kī  jaa.e
ye  nukta  kaTte  shajar  ne  mujhe  kyā  ta.alīm
ki  dukh  to  milte  haiñ  gar  ḳhvāhish-e-numū  kī  jaa.e
kashīda-kār-e-azal  tujh  ko  e'tirāz  to  na.iiñ
kahīñ  kahīñ  se  agar  zindagī  rafū  kī  jaa.e
maiñ  ye  bhī  chāhtā  huuñ  ishq  kā  na  ho  ilzām
maiñ  ye  bhī  chāhtā  huuñ  terī  aarzū  kī  jaa.e
mohabbatoñ  meñ  tū  shajre  kā  bhī  nahīñ  mazkūr
tū  chāhtā  hai  ki  maslak  pe  guftugū  kī  jaa.e
mirī  tarah  se  ujaḌ  kar  basā.eñ  shahr-e-suḳhan
jo  naql  karnī  hai  merī  to  hū-ba-hū  kī  jaa.e