vo  chāñd  ho  ki  chāñd  sā  chehra  koī  to  ho
in  khiḌkiyoñ  ke  paar  tamāshā  koī  to  ho
logo  isī  galī  meñ  mirī  umr  kaT  ga.ī
mujh  ko  galī  meñ  jānñe  vaalā  koī  to  ho
mujh  ko  to  apnī  zaat  kā  isbāt  chāhiye
hotā  hai  aur  mere  alāva  koī  to  ho
jis  samt  jā.iye  vahī  dariyā  hai  sāmne
is  shahr  se  farār  kā  rasta  koī  to  ho
apne  sivā  bhī  maiñ  koī  āvāz  sun  sakūñ
vo  barg-e-ḳhushk  ho  ki  parinda  koī  to  ho
yuuñ  hī  ḳhayāl  aatā  hai  bāñhoñ  ko  dekh  kar
in  Tahniyoñ  pe  jhūlne  vaalā  koī  to  ho
ham  is  udheḌ-bun  meñ  mohabbat  na  kar  sake
aisā  koī  nahīñ  magar  aisā  koī  to  ho
mushkil  nahīñ  hai  ishq  kā  maidān  mārnā
lekin  hamārī  tarah  nihattā  koī  to  ho