ishq  kī  jot  jagāne  meñ  baḌī  der  lagī
saa.e  se  dhuup  banāne  meñ  baḌī  der  lagī
maiñ  huuñ  is  shahr  meñ  tāḳhīr  se  aayā  huā  shaḳhs
mujh  ko  ik  aur  zamāne  meñ  baḌī  der  lagī
ye  jo  mujh  par  kisī  apne  kā  gumāñ  hotā  hai
mujh  ko  aisā  nazar  aane  meñ  baḌī  der  lagī
ik  sadā  aa.ī  jharoke  se  ki  tum  kaise  ho
phir  mujhe  lauT  ke  jaane  meñ  baḌī  der  lagī
boltā  huuñ  to  mire  hoñT  jhulas  jaate  haiñ
us  ko  ye  baat  batāne  meñ  baḌī  der  lagī
mere  arse  meñ  koī  sahl  na  thā  kār-e-suḳhan
ek  do  sher  kamāne  meñ  baḌī  der  lagī
maiñ  sar-e-ḳhāk  koī  peḌ  nahīñ  thā  'tābish'
is  liye  paañv  jamāne  meñ  baḌī  der  lagī