saañs  ke  shor  ko  jhankār  na  samjhā  jaa.e
ham  ko  andar  se  giraftār  na  samjhā  jaa.e
us  ko  raste  se  haTāne  kā  ye  matlab  to  nahīñ
kisī  dīvār  ko  dīvār  na  samjhā  jaa.e
maiñ  kisī  aur  havāle  se  use  dekhtā  huuñ
mujh  ko  duniyā  kā  taraf-dār  na  samjhā  jaa.e
ye  zamīñ  to  hai  kisī  kāġhzī  kashtī  jaisī
baiTh  jaatā  huuñ  agar  baar  na  samjhā  jaa.e
us  ko  aadat  hai  ghane  peḌ  meñ  so  jaane  kī
chāñd  ko  dīda-e-bedār  na  samjhā  jaa.e
apnī  bātoñ  pe  vo  qaa.em  nahīñ  rahtā  'tābish'
us  ke  inkār  ko  inkār  na  samjhā  jaa.e