dahan  kholeñgī  apnī  sīpiyāñ  āhista  āhista
guzar  dariyā  se  ai  abr-e-ravāñ  āhista  āhista
lahū  to  ishq  ke  āġhāz  hī  meñ  jalne  lagtā  hai
magar  hoñToñ  tak  aatā  hai  dhuāñ  āhista  āhista
palaTnā  bhī  agar  chāheñ  palaT  kar  jā  nahīñ  sakte
kahāñ  se  chal  ke  ham  aa.e  kahāñ  āhista  āhista
kahīñ  laalī  bharī  thālī  na  gir  jaa.e  samundar  meñ
chalā  hai  shaam  kā  sūraj  kahāñ  āhista  āhista
abhī  is  dhuup  kī  chhatrī  tale  kuchh  phuul  khilne  do
zamīñ  badlegī  apnā  āsmāñ  āhista  āhista
kise  ab  TuuT  ke  rone  kī  fursat  kār-e-duniyā  meñ
chalī  jaatī  hai  ik  rasm-e-fuġhāñ  āhista  āhista
mire  dil  meñ  kisī  hasrat  ke  pas-andāz  hone  tak
nimaT  hī  jā.egā  kār-e-jahāñ  āhista  āhista
makīñ  jab  niiñd  ke  saa.e  meñ  sustāne  lageñ  'tābish'
safar  karte  haiñ  bastī  ke  makāñ  āhista  āhista