us  kā  ḳhayāl  ḳhvāb  ke  dar  se  nikal  gayā
phir  maiñ  bhī  apne  dīda-e-tar  se  nikal  gayā
palkeñ  bhī  bah  ga.iiñ  ḳhas-o-ḳhāshāk  kī  tarah
maiñ  apne  sāhiloñ  ke  asar  se  nikal  gayā
tanhā.ī  se  thī  merī  mulāqāt  āḳhirī
royā  aur  is  ke  ba.ad  maiñ  ghar  se  nikal  gayā
jab  sham-e-intizār  uThā  lī  muñDer  se
dast-e-havā  bhī  halqa-e-dar  se  nikal  gayā
raste  meñ  aañkh  thī  sag-e-māmūr  kī  tarah
dil  meñ  jo  chor  thā  vo  kidhar  se  nikal  gayā
ab  le  le  mujh  ko  apnī  hathelī  kī  oT  meñ
merā  sitāra  burj-e-safar  se  nikal  gayā
mere  hī  saath  ghar  meñ  nazar-band  thā  to  phir
terā  ḳhayāl  kaun  se  dar  se  nikal  gayā