Abbas Tabish

tilism-e-KHwab se mera badan patthar nahin hota

Abbas Tabish

1961

tilism-e-ḳhvāb se merā badan patthar nahīñ hotā

mirī jab aañkh khultī hai maiñ bistar par nahīñ hotā

yaqīñ aatā nahīñ to mujh ko mahtāb ko dekho

ki raat us bhī kaT jaatī hai jis ghar nahīñ hotā

jidhar dekhūñ udhar dekhtā rahtā huuñ pahroñ tak

mujhe atrāf ḳhālī varaq azbar nahīñ hotā

khajūreñ aur paanī le ke aage baḌhtā jaatā huuñ

magar ye koh-e-imkāñ hai ki mujh se sar nahīñ hotā

kam-az-kam mujh se duniyā ko shikāyat to nahīñ hogī

maiñ is jaisā ban jā.ūñ agar behtar nahīñ hotā

javāz apnā banātā huuñ kisī nādīda ḳhitte meñ

jahāñ merī zarūrat ho vahāñ aksar nahīñ hotā

bahātā huuñ kahīñ apne sifāl-e-be-murkkab ko

maiñ girye ke dinoñ meñ chāk-e-duniyā par nahīñ hotā

gilā to ḳhair kyā hogā bas itnā tum se kahnā hai

tumhārī umr meñ koī sitam-parvar nahīñ hotā

to phir yuuñ hai ki maiñ ne us ko chāhā nahīñ 'tābish'

agar us shabāhat gumāñ mujh par nahīñ hotā

Top Urdushayar.com