kas  kar  bāñdhī  ga.ī  ragoñ  meñ  dil  kī  girah  to  Dhīlī  hai
us  ko  dekh  ke  jī  bhar  aanā  kitnī  baḌī  tabdīlī  hai
zinda  rahne  kī  ḳhvāhish  meñ  dam  dam  lau  de  uThtā  huuñ
mujh  meñ  saañs  ragaḌ  khātī  hai  yā  māchis  kī  tiilī  hai
un  āñkhoñ  meñ  kūdne  vaalo  tum  ko  itnā  dhyān  rahe
vo  jhīleñ  pāyāb  haiñ  lekin  un  kī  tah  pathrīlī  hai
kitnī  sadiyāñ  sūraj  chamkā  kitne  dozaḳh  aag  jalī
mujhe  banāne  vaale  merī  miTTī  ab  tak  giilī  hai
zinda  huuñ  to  mujhe  batā.eñ  niile  hoñToñ  vaale  log
merā  kaisā  rañg  karegī  baat  jo  maiñ  ne  pī  lī  hai
mumkin  hai  ab  vaqt  kī  chādar  par  maiñ  karūñ  rafū  kā  kaam
juute  maiñ  ne  gāñTh  liye  haiñ  gudḌī  maiñ  ne  sī  lī  hai