ramz-gar  bhī  gayā  ramz-dāñ  bhī  gayā
husn  ke  saath  husn-e-bayāñ  bhī  gayā
sar  se  tāroñ  bharī  sar-zamīñ  bhī  ga.ī
paañv  se  ḳhaak  kā  āsmāñ  bhī  gayā
phuul  hī  phuul  the  kunj-e-āzār  meñ
tum  vahāñ  bhī  na  the  maiñ  vahāñ  bhī  gayā
pahle  miTTī  uḌī  manziloñ  kī  taraf
phir  use  DhūñDne  kārvāñ  bhī  gayā
maiñ  akelā  na  thā  kū-rusvā.ī  meñ
saath  vīrāna-e-jism-o-jāñ  bhī  gayā
rañg  pastī  ke  phir  bhī  na  ifshā  hue
yuuñ  to  pātāl  tak  āsmāñ  bhī  gayā
ishq  meñ  bām-o-dar  bhī  na  pīchhe  rahe
saath  apne  makīñ  ke  makāñ  bhī  gayā
'tābish'  apne  basere  kī  jānib  chalo
is  se  kyā  tum  ko  sūraj  jahāñ  bhī  gayā