yaad  kar  kar  ke  use  vaqt  guzārā  jaa.e
kis  ko  fursat  hai  vahāñ  kaun  dobāra  aa  jaa.e
shak  sā  hotā  hai  har  ik  pe  ki  kahīñ  tū  hī  na  ho
ab  tire  naam  se  kis  kis  ko  pukārā  jaa.e
sā.ira  tujh  ko  bahut  yaad  haiñ  us  kī  bāteñ
kyuuñ  na  kuchh  vaqt  tire  saath  guzārā  jaa.e
jis  tarah  peḌ  ko  baḌhne  nahīñ  detī  koī  bel
kyā  zarūrī  hai  mujhe  gher  ke  maarā  jaa.e
ain  mumkin  hai  ki  ho  us  se  ilāj-e-vahshat
shahr  meñ  zor  se  ik  naam  pukārā  jaa.e
us  hasīñ  shaḳhs  kī  ḳhātir  jo  kahā  hai  'tābish'
kam  hai  is  sher  ko  jitnā  bhī  sañvārā  jaa.e