kal  siiñ  be-kal  hai  mirā  jī  yaar  kuuñ  dekhā  na  thā
kyuuñ  na  hove  betāb  dil  dildār  kuuñ  dekhā  na  thā
hai  bajā  gar  hove  ġhazal-ḳhvāñ  misl-e-bulbul  dil  mirā
nau-bahār-e-gulshan-e-dīdār  kuuñ  dekhā  na  thā
kyūñki  hove  zāhid-e-ḳhud-bīñ  murīd-e-zulf-e-yār
us  ne  saarī  umr  meñ  zunnār  kuuñ  dekhā  na  thā
ab  mushabbak  ho  gayā  us  tīr-e-mizhgāñ  ke  tufail
jis  dil-e-nāzuk  ne  nok-e-ḳhār  kuuñ  dekhā  na  thā
abrū-e-pur-chīñ  kuuñ  tere  dekh  dil  hairāñ  huā
kyā  magar  shamshīr-e-jauhar-dār  kuuñ  dekhā  na  thā
sīna-e-guldār  merā  us  kuuñ  aayā  hai  pasand
yaar  ne  shāyad  kabhī  gulzār  kuuñ  dekhā  na  thā
dekh  ashk-e-garm  kuuñ  mere  kahā  us  ne  'sirāj'
maiñ  kabhī  is  abr-e-ātish-bār  kuuñ  dekhā  na  thā