sadā-e-zāt  ke  ūñche  hisār  meñ  gum  hai
vo  ḳhāmushī  kā  musāfir  pukār  meñ  gum  hai
vo  shahr-e-shab  ke  kināre  charāġh  jaltā  hai
ki  koī  sub.h  mire  intizār  meñ  gum  hai
ye  kah  rahī  haiñ  kisī  kī  jhukī  jhukī  āñkheñ
badan  kī  aañch  nazar  ke  ḳhumār  meñ  gum  hai
har  ek  samt  se  us  ko  sadā.eñ  aatī  haiñ
mujhe  pukār  ke  ḳhud  bhī  pukār  meñ  gum  hai
na.e  charāġh  jalā  mujh  ko  DhūñDne  vaale
tirī  nazar  to  nazar  ke  ġhubār  meñ  gum  hai