sher  likhne  kā  fā.eda  kyā  hai
us  se  kahne  ko  ab  rahā  kyā  hai
pahle  se  tai-shuda  mohabbat  meñ
tū  batā  terā  mashvara  kyā  hai
surḳh  kyuuñ  ho  rahe  haiñ  tere  kaan
maiñ  ne  tujh  se  abhī  kahā  kyā  hai
āñkheñ  mal  mal  ke  dekhtā  huuñ  use
dopahar  meñ  ye  chāñd  sā  kyā  hai
merā  ham-asr  sub.h  kā  taarā
mere  baare  meñ  jāntā  kyā  hai
sochte  hoñT  boltī  āñkheñ
hairatī  kā  mukālima  kyā  hai
shor  sā  uTh  rahā  hai  chār-taraf
kuchh  girā  hai  magar  girā  kyā  hai
maiñ  yahāñ  se  palaTnā  chāhtā  huuñ
ai  ḳhudā  terā  mashvara  kyā  hai
jism  ke  us  taraf  hai  gul  ābād
phāñd  dīvār  dekhtā  kyā  hai
merī  ḳhud  se  mufāhamat  na  huī
tū  batā  terā  mas.ala  kyā  hai
is  liye  bolne  pe  huuñ  majbūr
aap  socheñge  sochtā  kyā  hai
ye  bahut  der  meñ  huā  ma.alūm
ishq  kyā  hai  muġhālta  kyā  hai
maiñ  to  aadī  huuñ  ḳhaak  chhānne  kā
tum  batāo  ki  DhūñDhnā  kyā  hai
ishq  kar  ke  bhī  khul  nahīñ  paayā
terā  merā  mo.āmla  kyā  hai
maiñ  banā  thā  khanaktī  miTTī  se
mere  andar  sukūt  sā  kyā  hai