badan  ke  chaak  par  zarf-e-numū  tayyār  kartā  huuñ
maiñ  kūza-gar  huuñ  aur  miTTī  kā  kārobār  kartā  huuñ
mirī  ḳhandaq  meñ  us  ke  qurb  kī  qindīl  raushan  hai
mire  dushman  se  kah  denā  maiñ  us  se  pyaar  kartā  huuñ
kahīñ  to  reg-e-ḳhufta  kī  tarah  paanī  meñ  paḌ  rahtā
varaq-gardānī-e-sahrā  maiñ  kyuuñ  be-kār  kartā  huuñ
uThā.e  phir  rahā  huuñ  hasrat-e-tāmīr  kī  īñTeñ
jahāñ  saaya  nahīñ  hotā  vahīñ  dīvār  kartā  huuñ
jahāñ  bhī  shām-e-tan  jaa.e  muhāfiz  saañp  kī  sūrat
maiñ  apnī  rezgārī  kī  vahīñ  ambār  kartā  huuñ
usī  ko  sāmne  pā  kar  usī  ko  bhīñch  kar  'tābish'
sukūt-e-nā-shanāsī  ko  suḳhan-āsār  kartā  huuñ