jhilmil  se  kyā  rabt  nikāleñ  kashtī  kī  taqdīroñ  kā
taare  kashf  nahīñ  kar  sakte  be-āvāz  jazīroñ  kā
har  nākāmī  ne  aise  bhī  kuchh  dīvāreñ  khīñchī  haiñ
ik  be-naqsha  shahr  banā  hai  lā-hāsil  tadbīroñ  kā
ik  muddat  se  qarya-e-jāñ  meñ  jhaḌte  haiñ  jhankār  ke  phuul
jaise  mere  jism  ke  andar  mausam  ho  zanjīroñ  kā
duur  se  jhunD  parindoñ  kā  lagte  haiñ  ḳheme  vāloñ  ko
kis  andāz  kā  aanā  hai  ye  aag  chhiḌakte  tīroñ  kā
raat  ga.e  jab  taare  bhī  kuchh  be-ma.anī  se  lagte  haiñ
ek  dabistāñ  khultā  hai  un  āñkhoñ  kī  tafsīroñ  kā
ek  hathelī  par  us  ne  mahkā.e  hinā  kī  sundar  phuul
ek  hathelī  kī  qismat  meñ  likkhā  dasht  lakīroñ  kā