yuuñ  to  shīrāza-e-jāñ  kar  ke  baham  uThte  haiñ
baiThne  lagtā  hai  dil  jūñhī  qadam  uThte  haiñ
ham  to  is  razm-gah-e-vaqt  meñ  rahte  haiñ  jahāñ
haath  kaT  jaa.eñ  to  dāñtoñ  se  alam  uThte  haiñ
sahl  añgār-tabī.at  kā  burā  ho  jis  se
naaz  uThte  haiñ  tire  aur  na  sitam  uThte  haiñ
koī  rauñde  to  uThāte  haiñ  nigāheñ  apnī
varna  miTTī  kī  tarah  raah  se  kam  uThte  haiñ
niiñd  jaatī  hī  nahīñ  arz-e-hunar  se  aage
daftar-e-ġham  hī  sadā  kar  ke  raqam  uThte  haiñ
din  kī  āġhosh-e-razā.at  se  nikal  kar  'tābish'
raat  kī  raat  kaf-e-ḳhāk  se  ham  uThte  haiñ