koī  miltā  nahīñ  ye  bojh  uThāne  ke  liye
shaam  bechain  hai  sūraj  ko  girāne  ke  liye
apne  ham-zād  daraḳhtoñ  meñ  khaḌā  sochtā  huuñ
maiñ  to  aayā  thā  inheñ  aag  lagāne  ke  liye
maiñ  ne  to  jism  kī  dīvār  hī  Dhaa.ī  hai  faqat
qabr  tak  khodte  haiñ  log  ḳhazāne  ke  liye
do  palak  biich  kabhī  raah  na  paa.ī  varna
maiñ  ne  koshish  to  bahut  kī  nazar  aane  ke  liye
lafz  to  lafz  yahāñ  dhuup  nikal  aatī  hai
terī  āvāz  kī  bārish  meñ  nahāne  ke  liye
kis  tarah  tark-e-ta.alluq  kā  maiñ  sochūñ  'tābish'
haath  ko  kāTnā  paḌtā  hai  chhuḌāne  ke  liye