jahān-e-marg-e-sadā  meñ  ik  aur  silsila  ḳhatm  ho  gayā  hai
kalām  ya.anī  ḳhudā  kā  ham  se  mukālima  ḳhatm  ho  gayā  hai
hameñ  to  bas  ye  pata  chalā  thā  ki  ūñToñ  vaale  chale  ga.e  haiñ
kisī  ko  is  kī  ḳhabar  nahīñ  jo  mo.āmla  ḳhatm  ho  gayā  hai
na  titliyoñ  jaisī  dopahar  hai  na  ab  vo  sūraj  gulāb  jaisā
jise  mohabbat  kahā  gayā  vo  muġhālta  ḳhatm  ho  gayā  hai
tumhārī  bātoñ  ke  jin  pe  shahtūt  jhaḌ  rahe  hoñ  vahī  batā.eñ
ki  talḳh-ābād  meñ  hamārā  to  zā.iqa  ḳhatm  ho  gayā  hai
hamārī  āñkhoñ  se  ḳhvāb  o  ḳhas  ke  tamām  pushte  haTā.e  jaa.eñ
hamārā  nārāz  pāniyoñ  se  muāhida  ḳhatm  ho  gayā  hai
ab  is  liye  bhī  hameñ  mohabbat  ko  tuul  denā  paḌegā  'tābish'
kisī  ne  pūchhā  to  kyā  kaheñge  ki  silsila  ḳhatm  ho  gayā  hai