kyuuñ  tire  gesū  kuuñ  gesū  bolnāñ
dil  meñ  aatā  hai  ki  shabbū  bolnāñ
pech  khā  kar  dil  mirā  chakrat  meñ  hai
zulf  kuuñ  terī  chakābū  bolnāñ
bhuul  ga.ī  aahū  kuuñ  apnī  chaukḌī
tujh  nigah  kuuñ  dām-e-āhū  bolnāñ
yā  falak  kī  aarsī  meñ  hai  hilāl
yā  kisī  kā  aks-e-abrū  bolnāñ
siikh  ga.ī  gulshan  meñ  tere  qad  satī
sarv  par  qumrī  ne  kū  kū  bolnāñ
kaan  meñ  hai  tere  motī  āb-dār
yā  kisī  āshiq  kā  aañsū  bolnāñ
sāmne  us  chehra-e-gulfām  ke
har  gul-e-ḳhushbū  kuuñ  ḳhud-rav  bolnāñ
husn  ke  lashkar  ke  rāvat  haiñ  do-chashm
zulf-o-lab  shab-ḳhūñ  kā  qaabū  bolnāñ
ab  charāġh-e-aql  gul  karnī  'sirāj'
soz-e-dil  señ  ek  yaahū  bolnāñ