ab  mohabbat  na  fasāna  na  fusūñ  hai  yuuñ  hai
sāhab-e-dasht  to  kahtā  thā  ki  yuuñ  hai  yuuñ  hai
pas-e-girya  koī  detā  hai  tasallī  tujh  ko
ye  jo  ai  dil  tujhe  be-vaj.h  sukūñ  hai  yuuñ  hai
'mīr'-sāhib  hī  nahīñ  us  se  pare  baiThte  haiñ
jo  bhī  shā.ista-e-ādāb-e-junūñ  hai  yuuñ  hai
zindagī-bhar  meñ  koī  sher  to  aisā  hotā
maiñ  bhī  kahtā  jo  mirā  zaḳhm-e-darūñ  hai  yuuñ  hai
niist  meñ  hast  kā  ehsās  dilātī  huī  aañkh
shor  kartī  hai  ki  hai  kun-fayakūñ  hai  yuuñ  hai