rāteñ  guzārne  ko  tirī  rahguzar  ke  saath
ghar  se  nikal  paḌā  huuñ  maiñ  dīvār-o-dar  ke  saath
dastak  ne  aisā  hashr  uThāyā  ki  der  tak
larzāñ  rahā  hai  jism  bhī  zanjīr  dar  ke  saath
kashkol  thāmte  haiñ  kaf-e-e.atibār  se
karte  haiñ  ham  gadāgarī  lekin  hunar  ke  saath
ab  kis  tarah  ye  Tokarī  sar  pe  uThā.ūñ  maiñ
sūraj  paḌā  huā  hai  mire  bām-o-dar  ke  saath
sūraj  usī  tarah  hai  ye  mahtāb  usī  tarah
Dhalte  rahe  haiñ  yaar  hī  shām-o-sahar  ke  saath
yuuñ  hai  mirī  uḌaan  pe  bhārī  mirā  vajūd
jaise  zamīñ  bañdhī  ho  mire  bāl-o-par  ke  saath
'tābish'  mujhe  safar  kī  rivāyat  kā  paas  thā
so  maiñ  bhī  rah  banā  ke  chalā  rahguzar  ke  saath