chāñd  kā  patthar  bāñdh  ke  tan  se  utrī  manzar-e-ḳhvāb  meñ  chup
chiḌiyāñ  duur  sidhār  ga.iiñ  aur  Duub  ga.ī  tālāb  meñ  chup
lafzoñ  ke  baTvāre  meñ  is  chīḳh-bhare  gahvāre  meñ
bol  to  ham  bhī  sakte  haiñ  par  shāmil  hai  ādāb  meñ  chup
pahle  to  chaupāl  meñ  apnā  jism  chaTaḳhtā  rahtā  thā
chal  niklī  jab  baat  safar  kī  phail  ga.ī  a.asāb  meñ  chup
ab  to  ham  yuuñ  rahte  haiñ  is  hijr-bhare  vīrāne  meñ
jaise  aañkh  meñ  aañsū  gum  ho  jaise  harf  kitāb  meñ  chup
apnī  aahaT  ko  bhī  apne  saath  nahīñ  le  jaate  vo
terī  raah  pe  chalne  vaale  rakhte  haiñ  asbāb  meñ  chup