merī  tanhā.ī  baḌhāte  haiñ  chale  jaate  haiñ
hañs  tālāb  pe  aate  haiñ  chale  jaate  haiñ
is  liye  ab  maiñ  kisī  ko  nahīñ  jaane  detā
jo  mujhe  chhoḌ  ke  jaate  haiñ  chale  jaate  haiñ
merī  āñkhoñ  se  bahā  kartī  hai  un  kī  ḳhushbū
raftagāñ  ḳhvāb  meñ  aate  haiñ  chale  jaate  haiñ
shādi-e-marg  kā  māhaul  banā  rahtā  hai
aap  aate  haiñ  rulāte  haiñ  chale  jaate  haiñ
kab  tumheñ  ishq  pe  majbūr  kiyā  hai  ham  ne
ham  to  bas  yaad  dilāte  haiñ  chale  jaate  haiñ
aap  ko  kaun  tamāshā.ī  samajhtā  hai  yahāñ
aap  to  aag  lagāte  haiñ  chale  jaate  haiñ
haath  patthar  ko  baḌhā.ūñ  to  sagān-e-duniyā
hairatī  ban  ke  dikhāte  haiñ  chale  jaate  haiñ