bachpan  kā  daur  ahd-e-javānī  meñ  kho  gayā
ye  amr-e-vāqi.a  bhī  kahānī  meñ  kho  gayā
lahroñ  meñ  koī  naqsha  kahāñ  pā.edār  hai
sūraj  ke  ba.ad  chāñd  bhī  paanī  meñ  kho  gayā
āñkhoñ  tak  aa  sakī  na  kabhī  āñsuoñ  kī  lahr
ye  qāfila  bhī  naql-e-makānī  meñ  kho  gayā
ab  bastiyāñ  haiñ  kis  ke  ta.āqub  meñ  rāt-din
dariyā  to  aap  apnī  ravānī  meñ  kho  gayā
'tābish'  kā  kyā  kaheñ  ki  vo  zohra-gudāz  shaḳhs
ātish-fishāñ  kā  phuul  thā  paanī  meñ  kho  gayā