mah-ruḳh  jo  gharoñ  se  kabhī  bāhar  nikal  aa.e
pas-manzar-e-shab  se  ka.ī  manzar  nikal  aa.e
tum  apnī  zabānoñ  se  use  chāTte  rahnā
kyā  jāniye  dīvār  meñ  kab  dar  nikal  aa.e
kyā  un  ko  Dubo.e  kisī  dariyā  kī  ravānī
ye  shahr  to  kuuze  ke  samundar  nikal  aa.e
din  bhar  to  rahe  mahr-e-jahāñ-tāb  kī  sūrat
jab  raat  paḌī  bhes  badal  kar  nikal  aa.e
aa.e  haiñ  agarche  ka.ī  chehroñ  se  ulajh  kar
lagtā  hai  ki  ham  aañkh  bachā  kar  nikal  aa.e
āvāz  to  do  partav-e-mahtāb  ko  'tābish'
mumkin  hai  vo  tālāb  se  bāhar  nikal  aa.e