amal  señ  mai-parastoñ  ke  tujhe  kyā  kaam  ai  vaa.iz
sharāb-e-shauq  kā  tū  ne  piyā  niiñ  jaam  ai  vaa.iz
lagegā  sañg-e-ḳhajlat  shīsha-e-nāmūs  par  tere
abas  ham  be-gunāhoñ  kuuñ  na  kar  bad-nām  ai  vaa.iz
nahīñ  hai  imtiyāz-e-nek-o-bad  chashm-e-haqīqat  meñ
mujhe  yaksāñ  huā  hai  kufr  aur  islām  ai  vaa.iz
niyāz-e-be-ḳhudī  behtar  namāz-e-ḳhud-numā.ī  señ
na  kar  ham  puḳhta-maġhzoñ  señ  ḳhayāl-e-ḳhām  ai  vaa.iz
kalām-e-nuqta-e-ilm  muḳhtasar  hai  sab  ma.ānī  kā
bayān-e-mantiq-e-darsī  kuuñ  niiñ  anjām  ai  vaa.iz
vo  shīrīñ-lab  kī  kaḌve  bol  amrit  haiñ  mire  haq  meñ
tujhe  ma.alūm  kyā  hai  lazzat-e-dushnām  ai  vaa.iz
'sirāj'  us  kāba-e-jāñ  ke  tasavvur  kuuñ  kiyā  sumran
yahī  vird-e-sahar  hai  aur  duā-e-shām  ai  vaa.iz