ye  vāhime  bhī  ajab  bām-o-dar  banāte  haiñ
havā  kī  shāḳh  pe  ḳhushbū  kā  ghar  banāte  haiñ
kaf-e-ḳhayāl  pe  aks-e-nashāt-e-rañg  tirā
nahīñ  banāne  kā  yaarā  magar  banāte  haiñ
ye  mashġhala  hai  tire  āshiyāñ  parastoñ  kā
ki  zer-e-dām  paḌe  bāl-o-par  banāte  haiñ
vo  apnī  marzī  kā  matlab  nikāl  letā  hai
agarche  baat  to  ham  soch  kar  banāte  haiñ
maiñ  jab  bhī  dhuup  ke  sahrā  meñ  jā  nikaltā  huuñ
vo  haath  mujh  pe  duā  kā  shajar  banāte  haiñ
mirī  misāl  hai  un  sabz  shāḳhchoñ  jaisī
jo  dhuup  kaat  ke  malbūs  zar  banāte  haiñ
ham  us  ko  bhuul  ke  karte  haiñ  shā.irī  'tābish'
kamāl-e-be-hunarī  se  hunar  banāte  haiñ