naqsh  saare  ḳhaak  ke  haiñ  sab  hunar  miTTī  kā  hai
is  dayār-e-rañg-o-bū  meñ  bast-o-dar  miTTī  kā  hai
kuchh  to  apnī  gardaneñ  kaj  haiñ  havā  ke  zor  se
aur  kuchh  apnī  tabī.at  meñ  asar  miTTī  kā  hai
chāñdnī  ḳhandāñ  hai  apne  hujra-e-mahtāb  par
aur  maiñ  nāzāñ  huuñ  is  par  merā  ghar  miTTī  kā  hai
rahmateñ  barsā  ke  bhī  abr-e-karam  chhaTtā  nahīñ
aise  lagtā  hai  ki  saaya  charḳh  par  miTTī  kā  hai
ḳhaak  se  uThte  nahīñ  chaltī  havā  ke  saath  ham
ijz-e-ḳhātir  par  bahut  gahrā  asar  miTTī  kā  hai
ik  namūna  hai  kisī  kī  san.at-e-timsāl  kā
ye  jo  khiḌkī  hai  sadā  kī  ye  jo  ghar  miTTī  kā  hai
kyuuñ  na  ḳhū-e-ḳhāk  se  ḳhasta  rahe  merī  anā
pā-ba-gil  huuñ  aur  ḳhamīr-e-motabar  miTTī  kā  hai