terī  āñkhoñ  se  apnī  taraf  dekhnā  bhī  akārat  gayā
ya.anī  pahchān  kā  ye  nayā  silsila  bhī  akārat  gayā
yuuñ  hinā.ī  lakīreñ  uḌiiñ  ajnabī  tā.eroñ  kī  tarah
par-burīda  sā  rañg-e-kaf-e-sad-hinā  bhī  akārat  gayā
ab  khulā  hai  ki  merā  tire  rañg  meñ  tere  andāz  meñ
bolnā  hī  nahīñ  dekhnā  sochnā  bhī  akārat  gayā
sun  rahā  huuñ  abhī  tak  maiñ  apnī  hī  āvāz  kī  bāzgasht
ya.anī  is  dasht  meñ  zor  se  bolnā  bhī  akārat  gayā
vo  zuleḳhā.ī  ḳhvāhish  hī  apne  sabab  se  pashemāñ  na  thī
sātveñ  dar  ke  andar  mirā  hausla  bhī  akārat  gayā
koī  lau  tak  na  dī  kaale  peḌoñ  ko  is  ātishīñ  raqs  ne
ya.anī  jañgal  meñ  us  mor  kā  nāchnā  bhī  akārat  gayā