Abbas Tabish

ab parindon ki yahan naql-e-makani kam hai

Abbas Tabish

1961
ab parindoñ kī yahāñ naql-e-makānī kam hai
ham haiñ jis jhiil pe us jhiil meñ paanī kam hai
ye jo maiñ bhāgtā huuñ vaqt se aage aage
merī vahshat ke mutābiq ye ravānī kam hai
de mujhe anjum-o-mahtāb se aage kī ḳhabar
mujh se faanī ke liye ālam-e-fānī kam hai
ġham kī talḳhī mujhe nashsha nahīñ hone detī
ye ġhalat hai ki tirī chiiz purānī kam hai
ġhaib ke baaġh kā vo bhed khulā hai mujh par
jis kā iblāġh parindoñ kī zabānī kam hai
hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkār
ik mohabbat ke liye ek javānī kam hai
itnā mushkil to na thā gum-shudagāñ kā milnā
ham ne ai dasht tirī ḳhaak hī chhānī kam hai
is samay maut kī ḳhushbū ke muqābil 'tābish'
kisī āñgan meñ khilī rāt-kī-rānī kam hai
Top Urdushayar.com