ab  parindoñ  kī  yahāñ  naql-e-makānī  kam  hai
ham  haiñ  jis  jhiil  pe  us  jhiil  meñ  paanī  kam  hai
ye  jo  maiñ  bhāgtā  huuñ  vaqt  se  aage  aage
merī  vahshat  ke  mutābiq  ye  ravānī  kam  hai
de  mujhe  anjum-o-mahtāb  se  aage  kī  ḳhabar
mujh  se  faanī  ke  liye  ālam-e-fānī  kam  hai
ġham  kī  talḳhī  mujhe  nashsha  nahīñ  hone  detī
ye  ġhalat  hai  ki  tirī  chiiz  purānī  kam  hai
ġhaib  ke  baaġh  kā  vo  bhed  khulā  hai  mujh  par
jis  kā  iblāġh  parindoñ  kī  zabānī  kam  hai
hijr  ko  hausla  aur  vasl  ko  fursat  darkār
ik  mohabbat  ke  liye  ek  javānī  kam  hai
itnā  mushkil  to  na  thā  gum-shudagāñ  kā  milnā
ham  ne  ai  dasht  tirī  ḳhaak  hī  chhānī  kam  hai
is  samay  maut  kī  ḳhushbū  ke  muqābil  'tābish'
kisī  āñgan  meñ  khilī  rāt-kī-rānī  kam  hai