ek  mushkil  sī  bahar-taur  banī  hotī  hai
tujh  se  baaz  aa.eñ  to  phir  ḳhud  se  Thanī  hotī  hai
kuchh  to  le  baiThtī  hai  apnī  shikasta-pā.ī
aur  kuchh  raah  meñ  chhāñv  bhī  ghanī  hotī  hai
mere  siine  se  zarā  kaan  lagā  kar  dekho
saañs  chaltī  hai  ki  zanjīr-zanī  hotī  hai
ābla-pā.ī  bhī  hotī  hai  muqaddar  apnā
sar  pe  aflāk  kī  chādar  bhī  tanī  hotī  hai
duudh  kī  nahr  nikālī  hai  ġhamoñ  se  ham  ne
ham  batā  sakte  haiñ  kyā  koh-kanī  hotī  hai
aañkh  to  khultī  hai  kirnoñ  kī  talab  meñ  lekin
zeb-e-mizhgāñ  kisī  neze  kī  anī  hotī  hai
dasht-e-ġhurbat  hī  pe  mauqūf  nahīñ  hai  'tābish'
ab  to  ghar  meñ  bhī  ġharīb-ul-vatanī  hotī  hai