ye  to  nahīñ  farhād  se  yaarī  nahīñ  rakhte
ham  log  faqat  zarbat-kārī  nahīñ  rakhte
qaidī  bhī  haiñ  is  shaan  ke  āzād  tumhāre
zanjīr  kabhī  zulf  se  bhārī  nahīñ  rakhte
masrūf  haiñ  kuchh  itne  ki  ham  kār-e-mohabbat
āġhāz  to  kar  lete  haiñ  jaarī  nahīñ  rakhte
jiite  haiñ  magar  ziist  ko  āzār  samajh  kar
marte  haiñ  magar  maut  se  yaarī  nahīñ  rakhte
mehmān-sarā  dil  kī  girā  dete  haiñ  pal  meñ
ham  sadqa-e-jārī  ko  bhī  jaarī  nahīñ  rakhte
tanhā  hī  nikalte  haiñ  sar-e-kū-e-malāmat
hamrāh  kabhī  zillat-o-ḳhvārī  nahīñ  rakhte