parinde  pūchhte  haiñ  tum  ne  kyā  qusūr  kiyā
vo  kyā  kaheñ  jinheñ  hijrat  ne  ghar  se  duur  kiyā
yahī  bahut  hai  ki  us  ahd-e-be-payambar  meñ
kahīñ  charāġh  kahīñ  ḳhvāb  ne  zuhūr  kiyā
ye  merā  ḳhaak  meñ  milnā  basā  ġhanīmat  hai
ki  maiñ  ne  ijz  kī  ḳhātir  bahut  ġhurūr  kiyā
falak  se  pheñk  ke  dekhā  ki  TūTne  kā  nahīñ
girā  ke  apnī  nigāhoñ  se  chuur  chuur  kiyā
ġhubār-e-dar-ba-darī  jis  ne  kar  diyā  mujh  ko
musāfiroñ  ko  usī  dhuup  ne  khajūr  kiyā