yā-rab  kahāñ  gayā  hai  vo  sarv-e-shoḳh-ra.anā
hai  chob-e-ḳhushk  jis  bin  merī  nazar  meñ  tuubā
dīdār  de  shitābī  jalne  kī  taab  niiñ  hai
is  hijr  kī  agan  siiñ  dozaḳh  kī  aag  aulā
tauq-e-gulū-e-dil  hai  zulf-e-sanam  kā  har  ḳham
mash.hūr  ye  masal  hai  yak  sar  hazār  saudā
hai  ḳhatm  yār-e-jānī  tere  dahan  kī  tañgī
kahne  kī  baat  niiñ  hai  bārīk  hai  muammā
ai  gul-badan  nazar  kar  dāġh-e-jigar  kuuñ  mere
gar  aarzū  hai  tujh  kuuñ  gulzār  kā  tamāshā
maskan  huā  hai  merā  jab  siiñ  tirī  galī  meñ
ai  gul-ezār  tab  siiñ  jannat  kī  niiñ  tamannā
hai  ai  'sirāj'  har  shab  mahtāb-rū  ke  ġham  meñ
aañsū  kā  mere  jhamkā  jyuuñ  ḳhosha-e-surayyā