vo  aane  vaalā  nahīñ  phir  bhī  aanā  chāhtā  hai
magar  vo  koī  munāsib  bahānā  chāhtā  hai
ye  zindagī  hai  ye  to  hai  ye  rozgār  ke  dukh
abhī  batā  de  kahāñ  āzmānā  chāhtā  hai
ki  jaise  us  se  mulāqāt  phir  nahīñ  hogī
vo  saarī  bāteñ  ikaTThī  batānā  chāhtā  hai
maiñ  sun  rahā  huuñ  añdhere  meñ  āhaTeñ  kaisī
ye  kaun  aayā  hai  aur  kaun  jaanā  chāhtā  hai
use  ḳhabar  hai  ki  majnūñ  ko  raas  hai  jañgal
vo  mere  ghar  meñ  bhī  paude  lagānā  chāhtā  hai
vo  ḳhud-ġharaz  hai  mohabbat  ke  baab  meñ  'tābish'
ki  ek  pal  ke  evaz  ik  zamāna  chāhtā  hai