bahut  be-kār  mausam  hai  magar  kuchh  kaam  karnā  hai
ki  taaza  zaḳhm  milne  tak  purānā  zaḳhm  bharnā  hai
abhī  saada  varaq  par  naam  terā  likh  ke  baiThā  huuñ
abhī  is  meñ  mahak  aanī  hai  titlī  ne  utarnā  hai
baḌhe  jo  habs  to  shāḳheñ  hilā  denā  ki  ab  ham  ko
havā  ke  saath  jiinā  hai  havā  ke  saath  marnā  hai
mabādā  us  ko  diqqat  ho  nishāne  tak  pahuñchne  meñ
so  maiñ  ne  phuul  se  dīvār  ke  raḳhne  ko  bharnā  hai
yahī  ik  shaġhl  rakhnā  hai  aziyyat  ke  dinoñ  meñ  bhī
kisī  ko  bhuul  jaanā  hai  kisī  ko  yaad  karnā  hai
koī  chehra  na  ban  paayā  muqaddar  kī  lakīroñ  se
so  ab  apnī  hathelī  meñ  mujhe  ḳhud  rañg  bharnā  hai
koī  rasta  mile  kyūñkar  mire  pā-e-ḳhajālat  ko
yahāñ  to  paañv  dharnā  bhī  koī  ilzām  dharnā  hai
vo  har  lamha  duā  dete  haiñ  lambī  umr  kī  'tābish'
mujhe  lagtā  hai  pyāroñ  ko  bhī  ruḳhsat  maiñ  ne  karnā  hai