aise  to  koī  tark  sukūnat  nahīñ  kartā
hijrat  vahī  kartā  hai  jo  bai.at  nahīñ  kartā
ye  log  mujhe  kis  liye  dozaḳh  se  Darā.eñ
maiñ  āshiqī  kartā  huuñ  ibādat  nahīñ  kartā
ham  silsila-dāroñ  ke  ho  kyuuñ  jaan  ke  darpai
kāfir  use  kahiye  jo  mohabbat  nahīñ  kartā
lagtā  hai  yahāñ  maut  nahīñ  aanī  kisī  ko
is  shahr  meñ  ab  koī  vasiyyat  nahīñ  kartā
ye  mujh  ko  batāte  haiñ  ġhazālān-e-tarah-dār
achchhā  vahī  rahtā  hai  jo  vahshat  nahīñ  kartā
'tābish'  kā  qayāmat  se  yaqīñ  uTh  na  gayā  ho
kuchh  din  se  vo  zikr-e-qad-o-qāmat  nahīñ  kartā