ab  adhūre  ishq  kī  takmīl  hī  mumkin  nahīñ
kyā  kareñ  paiġhām  kī  tarsīl  hī  mumkin  nahīñ
kyā  use  samjhā.ūñ  kāġhaz  par  lakīreñ  khīñch  kar
jazba-e-benām  kī  tashkīl  hī  mumkin  nahīñ
aise  mausam  meñ  bhī  sharh-e-dil  kiye  jaatā  huuñ  maiñ
jab  ki  is  ijmāl  kī  tafsīl  hī  mumkin  nahīñ
kis  jagah  uñglī  rakhūñ  kis  harf  ko  kaise  paḌhūñ
āyat-e-imkāñ  tirī  tartīl  hī  mumkin  nahīñ
tohmat-e-rusvā.ī  kaise  ishq  par  rakhtā  koī
aise  kāmoñ  meñ  to  aisī  Dhiil  hī  mumkin  nahīñ
kunj-e-nisyāñ  meñ  paḌe  dhuñdlā  ga.e  us  ke  nuqūsh
ab  to  us  ḳhush-rañg  kī  tamsīl  hī  mumkin  nahīñ
aur  bhī  kuchh  sūrateñ  ban  jā.eñgī  rusvā.ī  kī
ishq  meñ  'tābish'  faqat  tazlīl  hī  mumkin  nahīñ