chashm-e-nam-dīda  sahī  ḳhitta-e-shādāb  mirā
raat  kī  raat  mahaktā  hai  gul-e-ḳhvāb  mirā
ab  tahī-raḳht  bhī  ho  kar  maiñ  tahī-raḳht  nahīñ
ḳhvāhish-e-bādiya-paimā.ī  hai  asbāb  mirā
sabt  kar  aur  koī  mohr  mire  hoñToñ  par
qufl-e-abjad  se  nahīñ  band  huā  baab  mirā
sāhil-e-chashm  pe  kapḌoñ  ko  sukhāne  vaale
tū  ne  kab  paar  kiyā  thā  dil-e-pāyāb  mirā
naam  merā  to  kiyā  us  ne  qalam-zad  lekin
daftar-e-ishq  se  ḳhārij  na  huā  baab  mirā
jis  qadar  aa.ī  farāḳhī  mire  dil  meñ  'tābish'
utnā  hī  tañg  huā  halqa-e-ahbāb  mirā