ye  kis  ke  ḳhauf  kā  galiyoñ  meñ  zahr  phail  gayā
ki  ek  na.ash  ke  mānind  shahr  phail  gayā
nahīñ  giraft  meñ  tā-hadd-e-ḳhāk  kā  manzar
simaT  ga.iiñ  mirī  bāñheñ  ki  dahr  phail  gayā
tujhe  qarīb  samajhte  the  ghar  meñ  baiThe  hue
tirī  talāsh  meñ  nikle  to  shahr  phail  gayā
maiñ  jis  taraf  bhī  chalā  jā.ūñ  jaan  se  jā.ūñ
bichhaḌ  ke  tujh  se  to  lagtā  hai  dahr  phail  gayā
makāñ  makān  se  niklā  ki  jaise  baat  se  baat
misāl-e-qissa-e-hijrāñ  ye  shahr  phail  gayā
bachā  na  koī  tirī  dhuup  kī  tamāzat  se
tirā  jamāl  ba-andāz-e-qahr  phail  gayā
ye  mauj  mauj  banī  kis  kī  shakl  sī  'tābish'
ye  kaun  Duub  ke  bhī  lahr  lahr  phail  gayā