na  tujh  se  hai  na  gilā  āsmān  se  hogā
tirī  judā.ī  kā  jhagḌā  jahān  se  hogā
tumhāre  mere  ta.alluq  kā  log  pūchhte  haiñ
ki  jaise  faisla  mere  bayān  se  hogā
agar  yūñhī  mujhe  rakkhā  gayā  akele  meñ
barāmad  aur  koī  us  makān  se  hogā
judā.ī  tai  thī  magar  ye  kabhī  na  sochā  thā
ki  tū  judā  bhī  judāgāna  shaan  se  hogā
guzar  rahe  haiñ  mire  din  isī  tafāḳhur  meñ
ki  aglā  qais  mire  ḳhāndān  se  hogā