jis  kuuñ  mulk-e-be-ḳhudī  kā  raaj  hai
hai  zamīñ  taḳht  aur  bagūlā  taaj  hai
ḳhvāb  meñ  vo  zulf-e-mushkīñ  dekhnāñ
haq  meñ  mere  lailt-ul-merāj  hai
dekh  kar  lashkar  ġhanīm-e-ishq  kā
kishvar-e-aql-o-ḳhirad  tārāj  hai
ai  tabīb-e-mehrbāñ  bīmār-e-hijr
sharbat-e-dīdār  kā  muhtāj  hai
yaar  kī  āñkhoñ  meñ  hai  jaisī  hayā
chashm-e-nargis  meñ  kahāñ  ye  laaj  hai
us  kamāñ-abrū  ke  tīr-e-nāz  kā
sīna-chākoñ  kā  jigar  āmāj  hai
dil  mirā  tujh  ġham  siiñ  ai  jān-e-'sirāj'
beshtar  be-tāb  kal  siiñ  aaj  hai